Meri sab porein zakhmi thein, phool chunta bhi tou kaisay??
Meri manzilein he pur-fareb thein, safar katTa bhi tou kaisay??
Teri aawaz aa rahi thi meri samaAto'n mein lekin
Ik shor sa tha dhadkano'n ka, mein sunta bhi tou kaisay??
Mujh ko bula rahi thein shab-e-zeest ki sadaaen
Mein shakista paa tha lekin, rukta bhi tou kaisay??
Aankhon mein tThehar gayi thein tamannaon ki kirchiyan
Tere khwab in aankhon mein phir bunta bhi tou kaisay??
Gayi baharo'n ne tera rus chooce liya hay Saqi
Bohat taiz aandhiya'n thein, mein rukta bhi tou kaisay??