Amity Friends
Amity Friends
Amity Friends
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.



 
HomeLatest imagesRegisterLog in
Search
 
 

Display results as :
 
Rechercher Advanced Search
Latest topics
» Dedicated to all students . . .
Ahmed Faraz - Page 2 Icon_minitimeMon 11 Feb 2013 - 0:38 by Admin

» Muhbbat mai b dhoka hai
Ahmed Faraz - Page 2 Icon_minitimeMon 11 Feb 2013 - 0:37 by Admin

» Kids Furniture
Ahmed Faraz - Page 2 Icon_minitimeMon 11 Feb 2013 - 0:36 by Admin

» Women High-Heel Sandals
Ahmed Faraz - Page 2 Icon_minitimeMon 11 Feb 2013 - 0:35 by Admin

» Amazing Golden Keyboard.
Ahmed Faraz - Page 2 Icon_minitimeMon 11 Feb 2013 - 0:33 by Admin

» Coming Soon by Sony
Ahmed Faraz - Page 2 Icon_minitimeMon 11 Feb 2013 - 0:33 by Admin

» Happy New Year 2013 To All Friends.!
Ahmed Faraz - Page 2 Icon_minitimeSat 5 Jan 2013 - 11:50 by Shahnaz Sheikh

» Two Lines Asha'ar
Ahmed Faraz - Page 2 Icon_minitimeTue 1 Jan 2013 - 4:24 by Barish K Baad

» Made a Mistake
Ahmed Faraz - Page 2 Icon_minitimeThu 20 Dec 2012 - 13:58 by Master Mind

Navigation
 Portal
 Index
 Memberlist
 Profile
 FAQ
 Search
Forum
Affiliates
free forum
 
March 2024
SunMonTueWedThuFriSat
     12
3456789
10111213141516
17181920212223
24252627282930
31      
CalendarCalendar
Social bookmarking
Social bookmarking reddit      

Bookmark and share the address of Amity Friends on your social bookmarking website

Bookmark and share the address of Amity Friends on your social bookmarking website
Statistics
We have 132 registered users
The newest registered user is chikanbarn

Our users have posted a total of 3683 messages in 1124 subjects
Top posting users this week
No user
Most Viewed Topics
Serial,CD-Key, code
La Hasil by Umera Ahmed
Arabic MakeUp
...::: Al-Berooni ( Muslim Scientist ) Urdu :::...
Awesome Romantic Places
Sultan Mahmood Ghaznavi
Welcome Kaif On Amity Forum...!!
Beautiful sayings of our beloved Prophet MOHAMMAD (S.A.W)
Anarkali Suits
Mirza Asadullah Baig Khan
Top posting users this month
No user
Keywords

 

 Ahmed Faraz

Go down 
+2
Admin
Master Mind
6 posters
Go to page : Previous  1, 2
AuthorMessage
Master Mind
Admin
Admin
Master Mind


Female Posts : 813

Ahmed Faraz - Page 2 Empty
PostSubject: Ahmed Faraz   Ahmed Faraz - Page 2 Icon_minitimeMon 2 Nov 2009 - 8:02

First topic message reminder :


Ahmed Faraz - Page 2 20070824180356farazahmed_203



Ahmed Faraz - Page 2 20080826112523ahmad_faraz250




Last edited by Master Mind on Mon 2 Nov 2009 - 9:36; edited 1 time in total
Back to top Go down

AuthorMessage
tahira
Member
Member



Posts : 750

Ahmed Faraz - Page 2 Empty
PostSubject: Re: Ahmed Faraz   Ahmed Faraz - Page 2 Icon_minitimeSun 26 Aug 2012 - 14:43

abb kay tajded-e-vafa ka nahi imkan janaN
yaad kia tujh ko dilain tera paymaaN janaN

yoon hi mosam ki ada dekh ker yaad aaya hai
kis kadar jald badal jatay hain insaaN janaN

zindagee teri aata the soo teray naam ki
hum nay jaisay bhi basar ki tera ehsan janaN

aval aval ki mohabbat key nashay yaad to ker
baypiyah bhi tera chehra tha goolistan janaN

aakhir aakhir to yeh aalam hai kay abb hosh nahi
rag-e-mena soolag uthe kay rag-e-jaaN janaN

jis ko dekho vohi zanjee-ba-paa lagta hai
sher ka sher howa dakhil -e-zandan janaN

har koi apni hi aavaz say kanp uthta hai
har koi apnay hi saay say haraysaaN janaN

hum bhi kia sada thay hum nay bhi samaj rakha tha
ghum -e-dunya say jooda hai ghum-e-janaN janaN

hum kay roothi howi root ko bhi mana letay thay
hum nay dekha hai na tha mosam-e-hijaraaN janaN

hosh aaya to sabhi khawab they reeza reeza
jaisay udtay howay oorak-r-pershan janaN
Back to top Go down
tahira
Member
Member



Posts : 750

Ahmed Faraz - Page 2 Empty
PostSubject: Re: Ahmed Faraz   Ahmed Faraz - Page 2 Icon_minitimeSun 26 Aug 2012 - 14:44

Ye merii Gazale.n ye merii nazme.n tamaam terii hikaayate.n hai.n

ye merii Gazale.n ye merii nazme.n tamaam terii hikaayate.n hai.n
ye tazkire.n terii lutf ke hai.n ye sher terii shikaayate.n hai.n
mai.n sab terii nazr kar rahaa huu.N ye un zamaano.n kii s'ate.n hai.n
jo zindagii ke naye safar me.n tujhe kisii roz yaad aaye.N
to ek ek harf jii uThegaa pahan ke anfaas kii qabaaye.N
udaas tanahaa_iiyo.n ke lamho.n me.n naach uThe.ngii ye apasaraaye.N

mujhe terii dard ke alaavaa bhii aur dukh the, ye jaanataa huu.N
hazaar Gam the jo zindagii kii talaash me.n the, ye jaanataa huu.N
mujhe Khabar hai ki terii aa.Nchal me.n dard kii ret chhaanataa huu.N
magar har ek baar tujh ko chhuu kar ye ret rang-e-hinaa banii hai
ye zaKhm gul_zaar ban gaye hai.n ye aahe.n-sozaa.N ghaTaa banii hai
ye dard mauj-e-sabaa huaa hai ye aag dil kii sadaa banii hai

aur ab ye saarii mataa-e-hastii ye phuul ye zaKhm sab tere hai.n
ye dukh ke nauhe ye sukh ke naGme.n jo kal mere the vo ab tere hai.n
jo terii qurbat terii judaa_ii me.n kaT gaye roz-o-shab tere hai.n
vo teraa shaayar teraa muGannii vo jis kii baate.n ajiib sii thii
vo jis ke andaaz Khusro-vaanaa the aur adaaye.N Gariib sii thii.n
vo jis ke jiine kii Khvaahishe.n bhii Khud us ke apane nasiib sii thii.n

na puuchh us kaa ki vo diivaanaa bahut dino.n kaa uja.D chukaa hai
vo kohakan to nahii.n thaa lekin ka.Dii chaTTaano.n se la.D chukaa hai
vo thak chukaa hai aur us kaa teshaa usii ke siine me.n ga.D chukaa hai
Back to top Go down
tahira
Member
Member



Posts : 750

Ahmed Faraz - Page 2 Empty
PostSubject: Re: Ahmed Faraz   Ahmed Faraz - Page 2 Icon_minitimeSun 26 Aug 2012 - 14:44

[b]tuu bhii Khushbuu hai magar meraa tajassus bekaar
barq-e-aavaaraa kii maanind Thikhaane mere

shamaa ki lau thii ke vo tuu thaa magar hijr kii raat
der tak rotaa rahaa ko_ii sirhaane mere


Khalq kii beKhabarii hai ke merii rusavaa_ii
log mujh ko hii sunaate hai.n fasaane mere

luT ke bhii Khush huu.N ke ashko.n se bharaa hai daaman
dekh Gaarat_gare dil ye bhii Khazaane mere

aaj ik aur baras biit gayaa us ke baGair
jis ke hote hue hote the zamaane mere

kaash tuu bhii merii aavaaz sunataa ho
phir pukaare hai tujhe dil kii sadaa ne mere

kaash tuu bhii kabhii aajaaye masiihaa_ii ko
log aate hai.n bahut dil ko dukhaane mere

kaash auro.n kii tarah mai.n bhii kah sakataa
baat sun lii hai merii aaj Khudaa ne mere

tuu hai kis haal me.n ai zuud_faraamosh mere
mujh ko to chhiin liyaa ahad-e-vafaa ne mere

chaaraagar yuu.N to bahut hai.n magar ai jaan-e-'Faraz'
juz tere aur ko_ii Gam na jaane mere
Back to top Go down
tahira
Member
Member



Posts : 750

Ahmed Faraz - Page 2 Empty
PostSubject: Re: Ahmed Faraz   Ahmed Faraz - Page 2 Icon_minitimeSun 26 Aug 2012 - 14:45

kuchh na kisii se bolenge
tanhaaii men ro lenge

ham berahabaron kaa kyaa
saath kisii ke ho lenge

Khud to hue rusavaa lekin
tere bhed na kholenge

jiivan zahar bharaa saaGar
kab tak amrit gholenge

niind to kyaa aayegii 'Faraz'
maut aaii to so lenge
Back to top Go down
tahira
Member
Member



Posts : 750

Ahmed Faraz - Page 2 Empty
PostSubject: Re: Ahmed Faraz   Ahmed Faraz - Page 2 Icon_minitimeSun 26 Aug 2012 - 14:45

kya aisay kam-sukhan se koi guftagu karay
jo mustaqil sakoot se dil laho karay

ab to haimain tark-e-marasim ka gham nahin
per, dil ye chahta hai k aaghaaz tu karay

tere baghair bhi to ghaneemat hai zindagi
khud ko bhula ke kaun teri justaju karay

chup chaap apni aag main jalte raho FARAZ
duniya to arz-e-haal se be-aabru karay..
Back to top Go down
tahira
Member
Member



Posts : 750

Ahmed Faraz - Page 2 Empty
PostSubject: Re: Ahmed Faraz   Ahmed Faraz - Page 2 Icon_minitimeSun 26 Aug 2012 - 14:45

Dost ban ker bhi nahi saath nibhaane wala
wohi andaaz hai zaalim ka zamaane wala

ab issay log samajhte hein giraftaar mera
sakht nadim hai mujhe daam mein laane wala

kya kehein kitne marasim thhay hamarey is sey
woh jo ek shakhs hai mun'h pher ke jaane wala

tere hotey howe aa jaati thi saari dunya
aaj tanha hoon to koee nahi aane wala

muntazir kiska hoon tooti howi dehleez pe mein
kaun aaega yahan, kon hai aane wala

mein ne dekha hai bahaaron mein chaman ko jalte
hai koee khwab ki taabeer batane wala

tum takalluf ko bhi ikhlaas samajhte ho Faraz
dost hota nahi har haath milaane wala
Back to top Go down
tahira
Member
Member



Posts : 750

Ahmed Faraz - Page 2 Empty
PostSubject: Re: Ahmed Faraz   Ahmed Faraz - Page 2 Icon_minitimeSun 26 Aug 2012 - 14:46

har koi dil ki hatheli per sahara rakhe
kis ko sahrab kare woh, piyasa rakhe

umer bhar kon nibhata hai taluq itna
aye meri jan ke dusman tujh ko Allah rahke

hum ko acha nahin lagta koi ham naam tera
koi tujh sa ho to phir naam bhi tujh sa rahke

dil bhi pagal hai ke uss shaks se wabasta hai
kisi aur ka honey day, na apna rahke

kam nahin tumhein ibadat bhi to hirz zar say
fakir to woh hai ke jo deen na dunya rakhe

hans na itna faqir ke akele pan par
ja khud mere tarah tujh ko bhi tanha rakhe

ya qataat hai atahat ke chahat hai Faraz
hum to razi hein woh jis haal mein jaisa rakhe
Back to top Go down
tahira
Member
Member
tahira


Female Posts : 750

Ahmed Faraz - Page 2 Empty
PostSubject: Re: Ahmed Faraz   Ahmed Faraz - Page 2 Icon_minitimeSun 26 Aug 2012 - 14:46

Uss nay sukoot-e-shub main bhee apna payam rukh dya
Hijr ki raat baam par maah-e-tamaam rukh dya

Dekho ye meray khwab thay, Dekho yeh meray zukhm hain
Main nay to sub hisaab-e-Jaan bur-sur-e-aam rukh dya

Uss nay nazar naazar main hee, aisay bhalay sukhan kahay
Main nay to us kay paaon main sara kalaam rukh dya

Aamad-e-Dost kee naveed, Koo-ay wafa main aam th
Main nay bhi aik chirag sa, Dil sar-e-shaam rukh dya

Aur Faraz chaa-heeay kitnee mohabbatain tujhe
Maaon nay teray naam par, Bachchon ka naam rukh dya
Back to top Go down
tahira
Member
Member
tahira


Female Posts : 750

Ahmed Faraz - Page 2 Empty
PostSubject: Re: Ahmed Faraz   Ahmed Faraz - Page 2 Icon_minitimeSun 26 Aug 2012 - 14:48

qurbatooN mein bhi juda'ee ke zamaanay maaNge
dil wo be-mehr keh roonay ke bahaanay maaNge

hum na hotay to kisi aur ke churchay hotay
khuqat-e shehr tau kehnay ko fusaanay maaNge

yeh-hi dil tha keh turusta tha maraasim ke lya
ab yeh-hi turk-e talug ke bahaanay maaNge

zindagi hum tere daghooN se rahe sharminda
aur tu hai keh sada aina khaanay maaNge

dil kisi haal per qaanay hi nahin jaan-e faraz
mil gaye tum bhi tau kya aur na jaane maaNge
Back to top Go down
tahira
Member
Member
tahira


Female Posts : 750

Ahmed Faraz - Page 2 Empty
PostSubject: Re: Ahmed Faraz   Ahmed Faraz - Page 2 Icon_minitimeSun 26 Aug 2012 - 14:48

kuch ye ke muddatoun say ham bhi nahin thay roye
kuch zehr mein bhuja tha ahbaab ka dalasa

phir yun hua ke sawan aankhon mein aa basey thay
phir yun hua ke jaisey dil bhi tha aabla sa

ab sach kahain to yaro ham ko khabar nahin thi
ban jaye ga qayamat ik waqia zara sa

teiwar thay berukhi ke andaaz dosti ke
woh ajnabi tha lekin lagta tha aashna sa

ham nay bhi usko dekha kal shaam itefaqan
apna bhi haal hai ab logo faraz ka sa
Back to top Go down
tahira
Member
Member
tahira


Female Posts : 750

Ahmed Faraz - Page 2 Empty
PostSubject: Re: Ahmed Faraz   Ahmed Faraz - Page 2 Icon_minitimeSun 26 Aug 2012 - 14:48

us ko judaa hue bhii zamaanaa bahut huaa
ab kyaa kahe.n ye qissaa puraanaa bahut huaa

Dhalatii na thii kisii bhii jatan se shab-e-firaaq
ai marg-e-naagahaa.N teraa aanaa bahut huaa

ham Khuld se nikal to gaye hai.n par ai Khudaa
itane se vaaqaye kaa fasaanaa bahut huaa

ab ham hai.n aur saare zamaane kii dushmaanii
us se zaraa rabt ba.Dhaanaa bahut huaa

ab kyo.n na zindagii pe muhabbat ko vaar de.n
is aashiqii me.n jaan se jaanaa bahut huaa

ab tak to dil ka dil se taarruf na ho sakaa
maanaa ki us se milanaa milaanaa bahut huaa

kyaa kyaa na ham Kharaab hue hai.n magar ye dil
ai yaad-e-yaar teraa Thikaanaa bahut huaa

kahataa thaa naaseho.n se mere muu.Nh na aa_iio
phir kyaa thaa ek huu kaa bahaanaa bahut huaa

lo phir tere labo.n pe usii bevafaa kaa zikr
ahmad 'Faraz' tujh se kahaa naa bahut huaa
Back to top Go down
tahira
Member
Member
tahira


Female Posts : 750

Ahmed Faraz - Page 2 Empty
PostSubject: Re: Ahmed Faraz   Ahmed Faraz - Page 2 Icon_minitimeSun 26 Aug 2012 - 14:51

is se pahale ke bevafaa ho jaaye.n
kyo.n na ai dost ham judaa ho jaaye.n

tuu bhii hiire se ban gayaa patthar
ham bhii kal kyaa se kyaa ho jaaye.n

ham bhii majabuuriyo.n kaa uzr kare.n
aur kahii.n aur mubtalaa ho jaaye.n

ishq bhii khel hai nasiibo.n kaa
Khaak ho jaaye.n kimiyaa ho jaaye.n

ab ke gar tuu mile to ham tujh se
aise lipaTe.n terii qabaa ho jaaye.n

bandagii ham ne chho.D dii hai 'Faraz'
kyaa kare.n log jab Khudaa ho jaaye.n
Back to top Go down
tahira
Member
Member
tahira


Female Posts : 750

Ahmed Faraz - Page 2 Empty
PostSubject: Re: Ahmed Faraz   Ahmed Faraz - Page 2 Icon_minitimeSun 26 Aug 2012 - 14:51

aisey chup hein ke ye manzil bhi kari ho jaise.
tera milna bhi judaii ke ghari ho jaise..

apne saaye se hi har gaam laraz jata hoon
raaste mein koi deewar khari ho jaise

kitne nadaan hein tere bhoolne waley ke tujhe..
yaad karne ke liye umr pari ho jaise

tere maathe ki shikan pehle bhi dekhe thi magar
ye girah ab ke mereydil pe pare ho jaise

manzilein door bhi hein manzilein nazdeek bhi hein
apne hi paoon mein zangeer parii ho jaise

Aaj DiL KhOL Ke Roye Hein To Youn Khush Hein FaRaZ..
Chand Lamhon Ki YeH Rahat Bhi Bari Ho JaiSe
Back to top Go down
tahira
Member
Member
tahira


Female Posts : 750

Ahmed Faraz - Page 2 Empty
PostSubject: Re: Ahmed Faraz   Ahmed Faraz - Page 2 Icon_minitimeSun 26 Aug 2012 - 14:51

ye kya k sab say bayan dil ki haalatein karni
faraz tujh ko na yein muhabattein karni

ye karb kya hai k tu samney hai aur hamein
shumar abhi say judaye ki saayatein karni

koi khuda ho k pathar jissey ham bhi chahein
tamaam umer ussi ki ibadatein karni

sab apney apney kareenay say muntazir us kay
kisi ko shukar kisi ko shikayatein karni

ham apney dil say hein majboor aur logoun ko
zara si baat par barpa kayamatein karni

milein jab unsey to mabham hi guftugo karna
phir apney aap say so so wazahatein karni

ye log kaisey magar dushmani nibhatey hein
hamein to rass na ayein muhabatein karn
Back to top Go down
Sponsored content





Ahmed Faraz - Page 2 Empty
PostSubject: Re: Ahmed Faraz   Ahmed Faraz - Page 2 Icon_minitime

Back to top Go down
 
Ahmed Faraz
Back to top 
Page 2 of 2Go to page : Previous  1, 2
 Similar topics
-
» Diwan -e- Faraz
» La Hasil by Umera Ahmed
» Zavia 1 by Ashfaq Ahmed
» Aim Muhabbat So Afsane By Ashfaq Ahmed

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
Amity Friends :: Bazm-e-Sukhan :: __Mehfil-e-Moshaira-
Jump to: