Amity Friends
Amity Friends
Amity Friends
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.



 
HomeLatest imagesRegisterLog in
Search
 
 

Display results as :
 
Rechercher Advanced Search
Latest topics
» Dedicated to all students . . .
Word Of The Month. " Mohubbat ". Icon_minitimeMon 11 Feb 2013 - 0:38 by Admin

» Muhbbat mai b dhoka hai
Word Of The Month. " Mohubbat ". Icon_minitimeMon 11 Feb 2013 - 0:37 by Admin

» Kids Furniture
Word Of The Month. " Mohubbat ". Icon_minitimeMon 11 Feb 2013 - 0:36 by Admin

» Women High-Heel Sandals
Word Of The Month. " Mohubbat ". Icon_minitimeMon 11 Feb 2013 - 0:35 by Admin

» Amazing Golden Keyboard.
Word Of The Month. " Mohubbat ". Icon_minitimeMon 11 Feb 2013 - 0:33 by Admin

» Coming Soon by Sony
Word Of The Month. " Mohubbat ". Icon_minitimeMon 11 Feb 2013 - 0:33 by Admin

» Happy New Year 2013 To All Friends.!
Word Of The Month. " Mohubbat ". Icon_minitimeSat 5 Jan 2013 - 11:50 by Shahnaz Sheikh

» Two Lines Asha'ar
Word Of The Month. " Mohubbat ". Icon_minitimeTue 1 Jan 2013 - 4:24 by Barish K Baad

» Made a Mistake
Word Of The Month. " Mohubbat ". Icon_minitimeThu 20 Dec 2012 - 13:58 by Master Mind

Navigation
 Portal
 Index
 Memberlist
 Profile
 FAQ
 Search
Forum
Affiliates
free forum
 
March 2024
SunMonTueWedThuFriSat
     12
3456789
10111213141516
17181920212223
24252627282930
31      
CalendarCalendar
Social bookmarking
Social bookmarking reddit      

Bookmark and share the address of Amity Friends on your social bookmarking website

Bookmark and share the address of Amity Friends on your social bookmarking website
Statistics
We have 132 registered users
The newest registered user is chikanbarn

Our users have posted a total of 3683 messages in 1124 subjects
Top posting users this week
No user
Most Viewed Topics
Serial,CD-Key, code
La Hasil by Umera Ahmed
Arabic MakeUp
...::: Al-Berooni ( Muslim Scientist ) Urdu :::...
Awesome Romantic Places
Sultan Mahmood Ghaznavi
Welcome Kaif On Amity Forum...!!
Beautiful sayings of our beloved Prophet MOHAMMAD (S.A.W)
Anarkali Suits
Mirza Asadullah Baig Khan
Top posting users this month
No user
Keywords

 

 Word Of The Month. " Mohubbat ".

Go down 
4 posters
AuthorMessage
Syed
Admin
Admin
Syed


Male Posts : 524
Location New York

Word Of The Month. " Mohubbat ". Empty
PostSubject: Word Of The Month. " Mohubbat ".   Word Of The Month. " Mohubbat ". Icon_minitimeTue 22 Dec 2009 - 23:06

Salam O Alkium All Amity Friends.

Umeed hai ki ap saab khaiyet sai hon gai, Hum yehan pai Eik Naya Silsila Shuru Ker rahien hain Hur Month Eik Word Diya Jaiyee ga jis pai ap sab apni pasand ki nazam yah Ghazal Post karein , magar yaad rehiye kai wahi lufz uss mei Shamil hoo, December ka Lufz hai "Mohubbat"..!!

Best Of Luck All.

Amity Friends Admintration.
Back to top Go down
http://amityfriends.friendhood.net/forum.htm
Barish K Baad
Designer
Designer
Barish K Baad


Posts : 525

Word Of The Month. " Mohubbat ". Empty
PostSubject: Re: Word Of The Month. " Mohubbat ".   Word Of The Month. " Mohubbat ". Icon_minitimeWed 23 Dec 2009 - 4:07

Walaicom Assalam
Wo Silsaly, Wo Shouk, Wo Nisbat Nahe Rahi
Ab Zindagi Main Hijar Ki Wahshat Nahe Rahi

Touta Hay Dil Jab Se Uski Maseehai Se
Dil Ko Phir Kisi Maseeha Ki Hajat Nahe Rahi

Phir Yuon Howa Ke Koi Shanasa Nahe Raha
Phir Yuon Howa Ke Dard Main Shiddat Nahe Rahi

Wo Yuon Howa Ke Ho Gaya Masroof Wo Buhat
Or Hamain Yaad Karne Ki Use Fursat Nahe Rahi

Ab Kiya Koi Kisi Ko Chahay?
Hamain Tu Ab Khud Se Bhi Muhabbat Nahe Rahi
Back to top Go down
Barish K Baad
Designer
Designer
Barish K Baad


Posts : 525

Word Of The Month. " Mohubbat ". Empty
PostSubject: Re: Word Of The Month. " Mohubbat ".   Word Of The Month. " Mohubbat ". Icon_minitimeWed 23 Dec 2009 - 4:09



sitaare jo damakate hai.n
kisii kii chashm-e-hairaa.N me.n
mulaaqaate.n jo hotii hai.n
jamaal-e-abr-o-baaraa.N me.n

ye na abaad vaqto.n me.n
dil-e-naashaad me.n hogii
muhabbat ab nahii.n hogii
ye kuchh din baad me.n hogii

guzar jaaye.nge jab ye din
ye un kii yaad me.n hogii


Amjad Islam Amjad
Back to top Go down
Barish K Baad
Designer
Designer
Barish K Baad


Posts : 525

Word Of The Month. " Mohubbat ". Empty
PostSubject: Re: Word Of The Month. " Mohubbat ".   Word Of The Month. " Mohubbat ". Icon_minitimeWed 23 Dec 2009 - 12:10

Mujhe yeh galat fehmi thi,
K muhabbat dhair sari hai..
Dono hathon mei bhar kar,
Tamam umar sambhalunga,
Kabhi khoney nahi dunga..
Muhabbat kho jane k dar se,
Muthiyan bheench li main ne..
MAGAR!!!
Jab muthiyan kholein,
To dono hath khali the,
Tab maloom hua k..
MUHABBAT TO RAIT JESI THI!!!
Back to top Go down
Master Mind
Admin
Admin
Master Mind


Female Posts : 813

Word Of The Month. " Mohubbat ". Empty
PostSubject: Re: Word Of The Month. " Mohubbat ".   Word Of The Month. " Mohubbat ". Icon_minitimeWed 23 Dec 2009 - 12:17

ahan nice topic
Apni hi dhun mein rehti thi,
Ek larki shokh aur chanchal si..

Phoolon se baaten kerti thi,
Titli k rung pakadti thi..

Ek dhanak thi us k anchal par,
Phir jane kya tufaan aaya..

Titli k rung bikhar gaye,
Anchal k rung utar gaye..

Jab puchha kisi ne aey larki,
Tum ne ye chup kiun sadhee hai..

Wo kuch naa boli bas ro di,
Aur khaak pe haath ki ungali se,
.
.
.

Ek lafaz "MUHABBAT" Likh dala
Back to top Go down
Master Mind
Admin
Admin
Master Mind


Female Posts : 813

Word Of The Month. " Mohubbat ". Empty
PostSubject: Re: Word Of The Month. " Mohubbat ".   Word Of The Month. " Mohubbat ". Icon_minitimeWed 23 Dec 2009 - 12:19

Mujhay kaisay yaqeen aey
muhabbat tum ne bhi kee hai?
tumhen jab b kabi dekha
sada khush baash he paya

hamesha hanstay rehtay ho
kabi rotay nahi paya

kabi ghamgeen nahin daikha
hamesha must he paya

muhabbat kernay walon pe
kabhi masti nahin chhati
kabhi ronaq nahin aati
na wo sarsabaz hote hain
mohabbat kernay wale dil
hamesha zard hote hain

tu phir kaise yaqeen ker lon
kay muhabbat tum ne b ki hai?
Back to top Go down
Master Mind
Admin
Admin
Master Mind


Female Posts : 813

Word Of The Month. " Mohubbat ". Empty
PostSubject: Re: Word Of The Month. " Mohubbat ".   Word Of The Month. " Mohubbat ". Icon_minitimeWed 23 Dec 2009 - 14:47

koi apna nahin banta!!!
labon pay naam rakhnay say
dilon main yaad karnay say
har ik dharkan, har ik tarpan
kisi ke naam karnay say
koi apna nahin banta
tamam umar ki khushiyan
mohabbat ki sabhi ghariyan
kisi ko daan karnay say
ke ...us pay maan karnay say
koi apna nahin banta
woh pehlay piyar ki batain
rafaqat ki sabhi ratain
woh chahat ki sabhi rasmain
mohabbat ki sabhi qasmain
humaisha yaad rakhnay say
koi apna nahin banta
kisi tanha akaili raah guzar par
puranay say kisi boorhay shajar par
patthar say koi dil bananay say
aur
usmain apna or kisi ka naam sajanay say
koi apna nahin banta
ke jab......aankhain hi marr ja'ain
to phir sapna nahin banta
yeh jeewan daaan kar ja'ain
to bhi apna nahin banta
koi apna nahin banta...
koi apna nahin banta.........
Back to top Go down
tahira
Member
Member
tahira


Female Posts : 750

Word Of The Month. " Mohubbat ". Empty
PostSubject: Re: Word Of The Month. " Mohubbat ".   Word Of The Month. " Mohubbat ". Icon_minitimeWed 23 Dec 2009 - 16:55

Mohabbat muskurati hay
K yeh jazba hy cahaat ka
Jo aksar aazmata hay
K yeh dushman ki har sazish ki
Nakami ka rasta hy
Mohabbat
Maal-o-zar ko b kahan tasleem
Karti hay
Dilon per raaj karti hy k yeh tazeem
Karti hay
Kahin qaus e qazah ban kar
Kahin khusbu ki surat b
Humary khawab raston me
Achanak rung bharti hay
Humari soch per aksar
Haseen mausam sy lati hay
Mohabbat muskurati hay
Mohabbat muskurati hay
Word Of The Month. " Mohubbat ". Herz Word Of The Month. " Mohubbat ". Herz Word Of The Month. " Mohubbat ". Herz Word Of The Month. " Mohubbat ". Herz Word Of The Month. " Mohubbat ". Herz Word Of The Month. " Mohubbat ". Herz
Back to top Go down
tahira
Member
Member
tahira


Female Posts : 750

Word Of The Month. " Mohubbat ". Empty
PostSubject: Re: Word Of The Month. " Mohubbat ".   Word Of The Month. " Mohubbat ". Icon_minitimeWed 23 Dec 2009 - 17:13

Jab dil to tumhara apna ho..
Per baaten saari uss ki hon..
Jab khushboo uss ki aati ho...
Or saansen tumhari apni hon...
Jab had darja masroof ho tum..
woh yaad achanak aaye to.
Jab aankhen neand se bojhal hon
Tum ussey paas hi paao to..
Phir khud ko dhoka mat dena
Orr uss se ja kar keh dena
''HAAN DIL KO MUHABBAT HAI TUM SEY''
Word Of The Month. " Mohubbat ". Icon_biggrin
Back to top Go down
Syed
Admin
Admin
Syed


Male Posts : 524
Location New York

Word Of The Month. " Mohubbat ". Empty
PostSubject: Re: Word Of The Month. " Mohubbat ".   Word Of The Month. " Mohubbat ". Icon_minitimeThu 24 Dec 2009 - 11:14

Chalo khatam hoi aaj say dastaan-E-muhabbat
Ab hum tareekh-e-wafa main tera naam kanda kertey hain

Chalo aaj say hum chahat k zanda'n main muqeed huy
Teri yaad k sehra main dard-E-maazi ki wa'eed huy

Chalo ab kitaab-e-zeest se awraq-e-wafa palat'tay hain
K ab hum "wafa" ko jafa likhaingay , saza likhaingay

K ab hum apni bheegi january ki shuru'aat
Teray bakhsay huy azaab-e-tanhai se kertaY hain

Chalo ab teri muhabbat ki umar qaid muqaddar hoi
(k hum ko wafa nibhanay ki saza to milni thi)

Chalo ab hum apney haathon ki lakeero'n say
Tera aks-e-jaa'n mita daingay

Qalb-e-jaa'n main saji tasveer-E-muhabbat . . ..
Shab ki tanhai main chupke say hata daingay

Is per bhi sehar koi gham nahi hota
K hum ko zamane main teri ruswai manzoor nahi
Shayad isi liye yeh lehja gham nahi hota

Mgr jab faseel-E-jaa'n say saans ukharti hay to
Aise main hum Aseer-E-muhabbat
Phir say ahd-E-wafa duhranay lagtay hain

Itneay zakhm kha kar bhi
nishtar jaan ko teri ankhon ka
Surmai samandar yaad aata hay

Aisay main hum dair tak mazar-E-muhabbat per
Noha giri kertay hain , aahain bhartay hain

Aise main yaad-E-maazi ki her yaad
Nakhl-E-yada'n say mehev hojati hay

aisay main bas december ki
Siskiyan leti hoi sard tareek yaad ka
alvidaii manzar yaad aata hay

aisay main humain tu bhi nahi teri chahat bhi nahi

Bass woh muabbat ka aakhri december yaad aata hay

Haan bass woh aakhri december .........Yaad aata hay ..!!
Back to top Go down
http://amityfriends.friendhood.net/forum.htm
Master Mind
Admin
Admin
Master Mind


Female Posts : 813

Word Of The Month. " Mohubbat ". Empty
PostSubject: Re: Word Of The Month. " Mohubbat ".   Word Of The Month. " Mohubbat ". Icon_minitimeThu 24 Dec 2009 - 11:57

koi kab bhool sakta he ?
kitab-e-zeest k sare warq,
purzon ki surat ho chke phir bhi
wo pehla rang jo aankhon men jaga tha
wo pwhla naam acha jo mere honton ko laga tha
wo gaon ki kachi se pagdandi
wo pehli rut muhabat ki
we ik anjan sa sandesa teri aankhon ka
haya se wo mera palken jhuka dena
wo na karte huwe masoom sa iqrar kar dena
wo haan kehte huwe be-sakhta inkar kar dena
muhabat k sare rang,
koi kab bhula sakta he?
Back to top Go down
Master Mind
Admin
Admin
Master Mind


Female Posts : 813

Word Of The Month. " Mohubbat ". Empty
PostSubject: Re: Word Of The Month. " Mohubbat ".   Word Of The Month. " Mohubbat ". Icon_minitimeSat 9 Jan 2010 - 2:58

Word Of The Month. " Mohubbat ". Pt81
Back to top Go down
Sponsored content





Word Of The Month. " Mohubbat ". Empty
PostSubject: Re: Word Of The Month. " Mohubbat ".   Word Of The Month. " Mohubbat ". Icon_minitime

Back to top Go down
 
Word Of The Month. " Mohubbat ".
Back to top 
Page 1 of 1
 Similar topics
-
» Discussion """" Agreed or nottt """"
» Muje Tum Sai Mohubbat Hai.
» Mohubbat Azaab Hai YaRaab...!!
» Guess the Word
» ~~""" Aeqan """~~

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
Amity Friends :: Bazm-e-Sukhan :: __Meri Pasand-
Jump to: