zindaa raheinn to kyaa hai jo mar jaayeN ham to kyaa
duniyaa mein Khaamoshii se guzar jaayeiN ham to kyaa
hastii hii apanii kyaa hai zamaane ke saamane
ek Khvaab hain jahaaN mein bikhar jaayeiN ham to kyaa
ab kaun muntazir hai hamaare liye vahaaN
shaam aa ga_ii hai lauT ke ghar jaayeiN ham to kyaa
dil kii Khalish to saath rahegii tamaam umr
dariyaa-e-Gam ke paar utar jaaye.N ham to kyaa